Paap Ka Ghada पाप का घड़ा Pot of Sin ; Concept of deeds in Hinduism Karma

4 points | Post submitted by DrVivekKaser 1455 days ago | 0 comments | viewed 2907 times

Paap ka ghada पाप का घड़ा ka arth hota hai – har manushya ka apni zindagi ke paap aur punya ka bahi khata.

Manushya ko bhagwan ne banaya aur bhagwan ne मनुष्यों को विचार करने की स्वतंत्रता di hai, jise English me kehte hai “Free will”. Ab manushya apne jeevankal me kya karta, kaise karta, kyu karta hai ye sab us par nirbhay kar hai. Ise na bhagwan ko ज्ञात hota hai aur na hi manushya ko. Insaan acche karyon se apne punya kamata aur wahi bura karmo se paap.

Paap aur Punya ka vastavik sach hamne jana hi nahi. Ab main apne vichar Mahabharat se samjhata hu.

Usse thoda pehle ye samajh lete hai ki “paap aur punya- कर्मों ke sandarbh me kaha jata hai naa ki parinaam”. अर्थात् jab kisi bheeksharthi ko bhiksha di jati hai usse dene wale ka punya hota hai fir wo bhiksharthi us bhojan ko grahan kare ya uska tiraskar. Ise Geeta me kam shabdo me samjhaya gaya hai “कर्म करो मगर फल की प्रतिक्छा ना करो”।

Jab bhagwan Krishna ne Mahabharat me dharma ki sthapna ke liye yuddh ka nirnay liya unhe ज्ञात tha ki yuddh ke samapt hone par sabse jyada shraap unhe hi milenge. Magar unhone apna dayitva nahi tyaga apitu फलों ka tyag kiya.

Jab jab kisi manushya ko aahat hua Mahabharat ke yuddh mein, Shree Krishna ko shraap mila.

Aage badhte hai aur samajhte hai ki “paap ka ghada” ka kya paryay hai. Main do उदाहरण de kar samajhta hu.

Aapko gyat hoga Shishupal ke baare mein, jiska Shree Krishna ne bhari sabha mein sudarshan chakra se vadh kiya tha. Shishupal, Shree Krishna ki bua ka ladka tha. Use Krishna se hamesha द्वेष tha. Shree Krishna ne apni bua ko vachan diya tha ki wo Shishupal ki 100 galtiya maaf kar denge.

Jab Shishupal ne galtiya kar raha tha, tab kya uss samay wo koi punya ka kaam nahi kar raha tha? Aisa hona लगभग na ke barabar hai. Isliye insaan ko paap aur punya ke tarazu mein तौल kar dekhna chahiye. Krishna chahte to wo Shishupal ka vash kabhi kar sakte the magar unhone nahi kiya. Wo usse sudharne ka mauka dete rahe. Parantu jab Shishupal ke paap uske punya se atyadhik ho gaye aur uske paap ka ghada bhar gaya, usi क्षण uska marna tay tha. Naa usse pehle naa uske baad.

Ek aur udaaharan lete hai- Drupadi ka vastra haran. Galat tha. Duryodhan ho ya Dushshan ya Pandav ya Pitamah, sab galat the. Parantu jis samay Draupadi ka vastra haran ho raha tha, chahte to Bhagwan Shree Krishna sabha mein upasthit sabhi लोगों ka usi क्षण vadh kar sakte hai. Kitnu unhone Drupadi ki laaj rakhi magar manushya ko sudharne ka mauka diya.

Aparadh जघन्य tha parantu bhagwan ke liye paap, paap hota hai chahe chota ho ya bada. इस tarah ka अपराध, ghade mein jyada jagah leta hai. Isliye jab tak paap ka ghada bharta nahi, bhagwan kisiko दन्ड nahi dete.

Mahabharat ke yuddh mein dharma ka gyan dete guye Bhisma Pitamah ko Shree Krishna ne kaha tha ki agar ko chahe toh wo ussi क्षण unke pran har sakte hai, unki इच्छामृत्यु ke vardhan hone ke bawjood; kyuki Shree Krishna hi परम ब्रह्म hain.

Saar यह hai ki, itne paapo ke baad bhi Duryodhan ka vadh nahi kiya bhagwan ne, jab tak uski paapo ka ghada na bhar gaya. usi prakar Bhishma Pitamah, Dronacharya, Karna sabke paap ka ghada bharne ke baad hi unka vadh hua. Naa pehle naa baad mein.

अंत mein yahi kehna chahunga ki, har insaan, chahe kitna hi bura ho ya kitni hi बुराई kyon na ho, usse uske punya aur paap ko dekhna dandit karna chahiye. Aisa koi paap nahi jo accha hai aur aisa koi paap nahi jo punya hai.

Agar aapke ek jhooth bolne se kisi insaan ko hani ho, wo bada paap hai; agar aapke ek jhooth bolne se kisi insaan ko laabh jo , wo chota paap hai, magar paap hai क्योंकि aapne jhooth bola hai. Aur jaisa maine samjhaya, कर्म से आपके पाप और पुण्य तय होते हैं ना की उसके परिणाम से।

कर्मण्येवाधिकारस्ते मा फलेषु कदाचन। मा कर्मफलहेतुर्भूर्मा ते सङ्गोऽस्त्वकर्मणि॥

Text


NoAnswer posted, be the first one.

Please Login or Signup to leaveAnswer